tabir se mahrum tere KHwab bahut the

tabir se mahrum tere khwab bahut the
sada si kahani thi magar bab bahut the

aa lagti kinare se meri kashti-e-jaan bhi
shayad ki mere panw mein girdab bahut the

be-nam hue nam ki takrim ke hathon
pahchanta kya koi ki alqab bahut the

afsos tamawwuj unhen sahil pe na laya
anmol guhar warna tah-e-ab bahut the

har lahza badalti hui rut bas mein nahin thi
joban pe thi barsat to shadab bahut the

kuchh hum bhi bahut se gae namnak hawa mein
kuchh tum bhi to aamada-e-ijab bahut the

hum apne hi paband nahin the kabhi 'yasir'
uth aae ki taqrib ke aadab bahut the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close