tamam raat sadak par hamein bithaya gaya jab ehtimam nahin tha to kyon bulaya gaya bula rahi thi koi chhanw aisi ujlat mein ki apna saya bhi hum se nahin uthaya gaya tumhein to aag dikhai gai suhulat se hamein charagh samajh kar dhuan dikhaya gaya bahut dinon mein utarta hai zang andar ka bahut dinon meri aankhon ko aazmaya gaya nadi ne aakhiri kankar bhi kar diya mayus bas ek sans bacha tha so khinch laya gaya