tang naddi ke taDapte hue pani ki tarah

tang naddi ke tadapte hue pani ki tarah
hum ne dali hai nai ek rawani ki tarah

dhalte dhalte bhi ghazab dhae gaya hijr ka din
kisi kafir ki junun-khez jawani ki tarah

aisi wahshat ka bura ho ki hum apne ghar se
gham hue khud bhi mohabbat ki nishani ki tarah

nange sach qabil-e-bardasht kahan hote hain
waqia kahiye to kahiyega kahani ki tarah

pas rakkhen to malal aag lagaen to malal
dil bhi hai kya kisi taswir purani ki tarah

ishq hai madrasa-e-zist ki ukhdi hui int
hama-dani ki tarah hech-mudani ki tarah

ye ghazal hazrat-e-'rahil' ki hai dhyan rahe
aap poshida hain lafzon mein maani ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close