tariq-e-ishq mein barbaad hona padta hai gulon ki chah mein kanton pe sona padta hai bas ek lamha-e-raaz-o-niyaz ki khatir bashar ko muddaton chhup-chhup ke rona padta hai zamir bech ke mansab to mil hi jaega waqar pahle magar is mein khona padta hai hai bad-lihaz ye duniya koi kahan jae qadam qadam pe yahan khwar hona padta hai ye faqa-kash ki jinhen haif khud-farebi mein shikam ki seri ko pani bilona padta hai maashre ka ho nasur ya badan ka ghaw ilaj ke liye nashtar chubhona padta hai pasare hath to phirte ho mal-o-zar ke liye bil-akhir un se magar hath dhona padta hai parae dard mein hota nahin sharik koi ghamon ke bojh ko khud aap dhona padta hai ye sach hai 'chand' shagufta ghazal jo kahni ho qalam ko khun-e-jigar mein dubona padta hai