tera sitam jo mujh se gada ne saha saha tu baadshah hai jo mujhe tu ne kaha kaha daman tere se lag lun agar de raza mujhe ye na-tawan ghubar agar yan raha raha rakh aastin shitab meri chashm-e-tar pe jaan warna phire hai sail mein aalam baha baha nikle hai lala khak ke niche se surkh surkh rangin hua shahidon ke khun mein naha naha ab ji ke dar se us ko 'bayan' tu na chhodiyo hain mard we ki banh ko jis ki gaha gaha