tere didar ke sare marahil se zara pahle

tere didar ke sare marahil se zara pahle
karunga mashwara bhi badr-e-kaamil se zara pahle

samundar par karne ki khushi mein is qadar kuda
ki kashti ho gai gharqab sahil se zara pahle

lagi akhbar ki surkhi jo kanon mein to jag uttha
kisi surat lagi thi aankh mushkil se zara pahle

mujhe aaghosh mein lene se pahle kanpta dariya
pukara hota tum ne kash sahil se zara pahle

ghalat andaza tha khargosh ka kachhwe ke bare mein
pahunchna hai pahunch jaenge kahil se zara pahle

sawal-e-haq-parasti par ye bole hazrat-e-wais
nipatne dijiye mujh ko to jahil se zara pahle

yaqin paiham jo hota 'nazr' us ki pasbani ka
na rukte aap ke phir panw sahil se zara pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close