tere raston se jabhi guzar nahin kar raha ki mein apni umr abhi basar nahin kar raha koi baat hai jo hai darmiyan main ruki hui koi kaam hai jo main raat-bhar nahin kar raha hai koi khabar jo chhipae baitha hun khalq se koi khwab hai jise dar-ba-dar nahin kar raha teri baat koi bhi manta nahin shahr mein to mera kaha bhi kahin asar nahin kar raha kahin mere gird-o-nawah mein koi shai nahin main kisi taraf bhi abhi nazar nahin kar raha koi shakh hai jise barg-o-bar nahin mile koi sham hai jise main shajar nahin kar raha koi is pe ghaur agar kare bhi to kis liye ye sukhan main aap bhi soch kar nahin kar raha abhi meri apni samajh mein bhi nahin aa rahi main jabhi to baat ko mukhtasar nahin kar raha ye main apne aib jo kar raha hun ayan 'zafar' to dar-asl ye bhi koi hunar nahin kar raha