tha jo sher-e-rast sarw-e-bostan-e-reKHta

tha jo sher-e-rast sarw-e-bostan-e-rekhta
ab wahi hai lala-e-zard-e-khizan-e-rekhta

aage kachhwe ki kaman ke qadr kya us ki rahi
thi farid-abaadi apni go kaman-e-rekhta

khushk karte hain jo fikr-e-khushk se apna dimagh
jaante hain us ko maghz-e-ustukhwan-e-rekhta

pech de de lafz o mani ko banate hain kulaft
aur wo phir us pe rakhte hain guman-e-rekhta

fahm mein itna nahin aata ba-hukme-e-ra-e-past
is bulandi se ghati jati hai shan-e-rekhta

khwan-e-yaghma ban ke pahuncha har kas-o-na-kas ke hath
nitta-e-sultan jo tha makhsus khwan-e-rekhta

hai rag-e-abr-e-bahaari hath mein mere qalam
rashk-e-jannat jis se hai ye gulistan-e-rekhta

farsi ab ho gai hai nang us ke waste
farsi ka nang tha jaise quran-e-rekhta

chand tare ka dupatta mein diya us ko bana
warna is zinat se kab tha aasman-e-rekhta

rafta rafta hae us ka aur aalam ho gaya
nazm se apni gira nazm-e-bayan-e-rekhta

jab se mani-bandi ka charcha hua ai 'mushafi'
khalte mein jata raha husn-e-zaban-e-rekhta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close