tu urus-e-sham-e-khayal bhi tu jamal-e-ru-e-e-sahar bhi hai ye zarur hai ki ba-in-hama mera ehtimam-e-nazar bhi hai ye mera nasib hai ham-nashin sar-e-rah bhi na mile kahin wahi mera jada-e-justuju wahi un ki rahguzar bhi hai hama kashmakash meri zindagi kabhi aa ke dekh ye bebasi teri yaad wajh-e-sukun sahi wahi raaz-e-dida-e-tar bhi hai tere qurb ne jo badha diye kabhi mit sake na wo fasle wahi panw hain wahi aable wahi apna zauq-e-safar bhi hai ba-hazar danish-o-agahi meri maslahat hai abhi yahi main asir-e-zulmat-e-shab sahi meri dastaras mein sahar bhi hai