uruj-e-adam-e-KHaki kahan ka qissa hai

uruj-e-adam-e-khaki kahan ka qissa hai
mahz daraazi-e-kar-e-jahan ka qissa hai

siyah raat thi neza-ba-kaf kama-bar-dosh
tulu-e-subh lute karwan ka qissa hai

husul-e-mal-e-ghanimat ki dastan-e-latif
dar-asl wadi-e-ah-o-fughan ka qissa hai

ghanim-e-hirs-o-hawas ham-kanar-e-fath-o-zafar
zarur ye mere hindostan ka qissa hai

wo rang-o-nur ka dariya wo husn-o-hosh-ruba
nahin kuchh aur ye urdu zaban ka qissa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close