use pahle pahal achchha lagega naya rasta naya rasta lagega talluq todna mushkil nahin hai yahi ki dusra jhatka lagega mera ehsan hai tujh par mohabbat agar aisa kahun kaisa lagega tumhaare nam ka chalta hai sikka kaho kuchh bhi kaho achchha lagega mere wahm-o-guman mein bhi nahin tha ye sadma is qadar gahra lagega yahi sab jaan kar chhoda tha us ko wo apna hai to phir apna lagega