usi ne pyar baKHsha aur usi ne bandagi baKHshi

usi ne pyar bakhsha aur usi ne bandagi bakhshi
mere malik ne mujh ko is jahan ki har khushi bakhshi

adibon se bhari mahfil mein aana tha kahan mumkin
usi ne sher likhwae usi ne shairi bakhshi

main sagar tha mujhe khara nahin rahne diya us ne
ki lahraati si bal khati mohabbat ki nadi bakhshi

andheron ke ghane sayon ka qabza tha tabhi rab ne
rihai un se dilwai bashar ko raushni bakhshi

khushi aur gham mein kya hai farq ye mahsus karne ko
sabhi ko dil diya ek aur aankhon ko nami bakhshi

teri kari-gari ke sab hain diwane mere maula
sitare arsh ko bakhshe zamin ko zindagi bakhshi

'rajat' ki zist guzregi mohabbat ke bina kaise
yahi socha tabhi to rab ne us ko dosti bakhshi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close