us ki khwahish pe nae sher barabar kahna aur phir sun ke unhen us ka mukarrar kahna khushk aankhen liye hansta hua dekho jis ko us ko sahra nahin kah dena samundar kahna kya ajab hai ki ho bete ki faqat haar pe haar aur man ka use har bar sikandar kahna ye to hum hain bade dil wale jo kah dete hain warna aasan nahin apne se behtar kahna pahle hum 'mir' ke qadmon ko zara chum aaen baad mein yaro hamein khul ke sukhnawar kahna ishq ke maron ko kahna nahin dekho kuchh bhi aur agar kahna hi chaho to qalandar kahna