us ki yaad ka itr laga kar nikla tha kya sauda main sar mein le kar nikla tha subh ke suraj ka chehra tha rakhshanda raat ke khun ka ghaza mal kar nikla tha jaane kyon apne ko shisha jaana phir khud hi hath mein sang utha kar nikla tha us ne rah ke sare patthar tod diye wo jo pahli thokar kha kar nikla tha rangini aur khushbu mujh par qurban thi us ka qasida jab main padh kar nikla tha jaane insan ne kya socha hoga jab suraj pahli bar falak par nikla tha daur-e-khizan ke khatm ka yun elan hua taza patta shakh-e-shajar par nikla tha