utar raha tha samundar sarab ke andar

utar raha tha samundar sarab ke andar
bichhad ke khud se mila jab main khwab ke andar

ragen khinchin to badan khwab ki tarah tuta
khala ka zoam bhara tha habab ke andar

main mah-o-sal ka kab tak hisab likhta rahun
asir puri sadi hai azab ke andar

nazar ko faiz mila to labon pe mohr lagi
furaat yun bhi mili hai sarab ke andar

ajab junun meri ungliyon mein jaga hai
ki khun dhund rahi hain gulab ke andar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close