utha kar barq-o-baran se nazar manjdhaar par rakhna hamesha ke liye ye hath ab patwar par rakhna visali mausamon ki bazyabi chahne walo bajae shakh-e-gul dast-e-talab rukhsar par rakhna sar-e-takhliq tan kab ikhtirai dhun nikal aae zara ye hont tum barbat ke tute tar par rakhna wabaal-e-dosh tha ye tum kisi kone pe likh dena numaish ke liye jab sar sutun-e-dar par rakhna baqa-e-nau-e-insani ki khatir chahta hun main ab apne aap ko barud ke ambar par rakhna wo kirnon se bhari do-pahriyan ab yaad aati hain fatada barg uthana saya ek ashjar par rakhna 'zubair' aqwam-e-alam mein bhi ho tashhir wahshat ki garebanon ke ye tukde khat-e-asar par rakhna