wada gar roz kiye jaiyega roz samjhunga ki aaj aaiyega jaan ka gham nahin gham ye hai ki aap qatl kar ke mujhe pachhtaiyega main bhi hun hazrat-e-naseh dana kuchh samajh kar mujhe samjhaiyega laghar itna hun ki hun ghar mein magar mere ghar mein na mujhe paiyega tum nahin qaul-o-qasam ke sachche jhut kahta hun qasam khaiyega dar pe rahne ki ijazat de kar kahte hain panw na phailaiyega kya hai jo kahte ho mutrib se tum aaj koi 'nazim' ki ghazal gaiyega