wahshat-e-gham mein sukun zist ko milta bhi kahan

wahshat-e-gham mein sukun zist ko milta bhi kahan
tha bayaban mein diwar ka saya bhi kahan

ek muddat se na yaad aai na jaan tadpi hai
dil tujhe bhul gaya ho magar aisa bhi kahan

husn bhi wo na raha pahla sa dildar-e-hunar
aah pahli si wo ab azmat-e-tesha bhi kahan

maslahat-bin hai agar ishq-e-junun-pesha to kya
ab wo pahle ki tera wusat-e-sahra bhi kahan

koi manzil hi na thi manzil-e-gham se aage
qafila apni tamannaon ka rukta bhi kahan

ghair-mahdud khalaon mein safar karta hun
aur rasai ka ye aalam hai ki bhatka bhi kahan

nikhat-o-nur se mamur faza hai phir bhi
to ki is rahguzar se abhi guzra bhi kahan

haram-o-dair se ye sar jo kashida aaya
jhuk gaya dar pe tere aur ye jhukta bhi kahan

khak udata hai abhi dasht-e-talab hi mein 'salam'
dil-e-ruswa ye hua hai abhi ruswa bhi kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close