waqt ka aap bhi har haal mein pichha kije

waqt ka aap bhi har haal mein pichha kije
warna baithe hue taqdir ko kosa kije

aap alfaz ke khanjar ko na phenka kije
dil pe kya guzregi ye bhi zara socha kije

jab bhi pechida guzargahon se guzra kije
kis tarah log badal jate hain dekha kije

apni barbaad mohabbat ka na charcha kije
khud ko duniya ki nigahon mein na ruswa kije

apne sine se usulon ko lagae rakhiye
han zamane ke taqazon ko bhi samjha kije

zindagi chain se guzregi yaqinan ai 'ziya'
pahle jine ka saliqa bhi to sikha kije


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close