wasl mein bhi hijr ko mahsus kar ke aa gae hum

wasl mein bhi hijr ko mahsus kar ke aa gae hum
dil lagane ko gae the aankh bhar ke aa gae hum

tutna phir aankh bharna kar rahe hain hum musalsal
maut se pahle hi kitni bar mar ke aa gae hum

bazm mein puchha kisi ne bewafa ka nam kya hai
aur us ke nam se diwar bhar ke aa gae hum

baat hai mear ki to mai-kade jate nahin hain
par nashe mein hain nasha ulfat ka kar ke aa gae hum

masala karne laga tha dil bhulane mein use tab
hath pakda aur dil hathon mein dhar ke aa gae hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close