wo aashna-e-manzil-e-irfan hua nahin

wo aashna-e-manzil-e-irfan hua nahin
jis ko tere karam ka sahaara mila nahin

dekha bahut nigah-e-talab ko mila nahin
tum se tum hi ho tum sa koi dusra nahin

jaun to uth ke jaun kahan tere dar se main
tere siwa kisi ko bhi dil manta nahin

tera karam mata-e-do-alam mere liye
tera karam rahe to do-alam mein kya nahin

dast-e-talab badhe to mile phir karam ki bhik
un ki ata ne ye bhi gawara kiya nahin

main bhi faqir-e-dar hun mujhe bhi nawaz do
mayus koi dar se tumhaare gaya nahin

takmil bandagi na hui mujh se ai 'fana'
jab tak dar-e-habib pe sajda kiya nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close