Wo Bulayein To Kya Tamasha Ho

Wo Bulayein To Kya Tamasha Ho

Hum Na Jaayein To Kya Tamasha HoYe Kinaron Se Khelne Wale

Doob Jaayein To Kya Tamasha HoBanda Parwar Jo Hum Pe Guzari Hai

Hum Batayein To Kya Tamasha HoAaj Hum Bhi Teri Wafaon Par

Muskurayein To Kya Tamasha HoTeri Soorat Jo Itefaaq Se Hum

Bhool Jaayein To Kya Tamasha HoWaqt Kee Chand Satein 'Saghar'

Laut Aayein To Kya Tamasha Ho!
This is a great dil se khelne shayari. Please share if you liked this!!!