wo ek hasin hadisa jo hote hote Tal gaya

wo ek hasin hadisa jo hote hote tal gaya
hamari zindagi ke sab usul hi badal gaya

faza-e-sazgar se na thi gharaz bahaar se
babul ki tarah tha main kahin bhi phul phal gaya

hazar ho kisi se ishq lakh hon aqidaten
magar kisi ke aastan pe kaun sar ke bal gaya

bhala ye meri tishnagi na aur kyon bhadak uthe
ki aaya mere hath mein to jam hi pighal gaya

pahunch chuka tha main bahut qarib apne khwab ke
magar main sochta raha raqib chaal chal gaya

main jis ke intizar mein tha wo kahin wahi na ho
nazar bacha ke jo abhi qarib se nikal gaya

tapak rahi thi 'ambar' us ki shakl se farishtagi
magar wo sare shahr ko buri tarah se chhal gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close