wo ek shaKHs mera ham-mizaj pahle tha

wo ek shakhs mera ham-mizaj pahle tha
badal gaya wahi kal mein jo aaj pahle tha

bashar ki pyas bashar ke lahu se bujhti hai
jahan mein kya yahi khuni riwaj pahle tha

tamam waqt guzarta hai laghwiyat mein ab
hamare sar pe bahut kaam kaj pahle tha

ye aisa daur ki insaniyat bilakti hai
sukun se par bada sada samaj pahle tha

na dekhi dahr ne us ki tarah ziya ab tak
ajib bujhta hua ek siraj pahle tha

ghubar-o-khak mein wo sab badal gae 'qudsi'
jawaharaat ka ghar bhar anaj pahle tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close