wo jo dagh-e-ishq tha khush-numa jo amanat-e-dil-e-zar tha sar-e-bazm tha to charagh tha sar-e-rah tha to ghubar tha use main hi jaanun hun doston kisu waqt apna bhi yar tha kabhu mom tha kabhu sang tha kabhu phul tha kabhu khar tha teri yaad hai ki bujhi bujhi tera zikr hai ki ruka ruka teri yaad se to sukun tha tere zikr se to qarar tha ye to waqt waqt ki baat hai hamein un se koi gila nahin wo hon aaj hum se khafa khafa kabhu hum se un ko bhi pyar tha wo nagar to kab ka ujad gaya hum usi nagar se to aae hain kahin maqbara tha khulus ka to kahin wafa ka mazar tha jise shauq tha teri did ka jise pyas thi tere pyar ki jo teri gali mein muqim tha wahi ajnabi sar-e-dar tha tere dil se mera khulus-e-dil na jhalak saka to main kya karun mere aks ki to khata na thi tere aaine pe ghubar tha