wo jo milta tha kabhi mujhse bahaaron ki tarah

wo jo milta tha kabhi mujh se bahaaron ki tarah
aaj chubhta hai nigahon mein wo kharon ki tarah

wo bhi kya shakhs hai jo qasr-e-tasawwur mein mujhe
roz aarasta karta hai mazaron ki tarah

dubne hi nahin deta kabhi kashti meri
ab bhi wo samne rahta hai kinaron ki tarah

lakh mahtab meri zist mein aae lekin
darmiyan tujh ko bhi dekha hai sitaron ki tarah

us ki aankhon ne ajab sehr kiya hai hum par
raat-bhar phirte rahe baada-gusaron ki tarah

aap ki aankhon se kuchh aur pata chalta hai
aap dekha na karen hum ko nazaron ki tarah

kis ko malum chhupae hai wo khanjar kitne
wo jo zahir mein mila karta hai yaron ki tarah

us ke chehre pe to narmi hai halawat hai bahut
'shama' lahja hai magar us ka shararon ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close