wo mahtab abhi baam par nahin aaya meri duaon mein shayad asar nahin aaya bahut ajib hai yaron bulandiyon ka tilism jo ek bar gaya laut kar nahin aaya ye kaenat ki wusat khuli nahin mujh par main apni zat se jab tak guzar nahin aaya bahut dinon se hai be-shakl si meri mitti bahut dinon se koi kuza-gar nahin aaya bas ek lamhe ko be-pairahan use dekha phir is ke baad mujhe kuchh nazar nahin aaya hum ab bhi dasht mein khema lagae baithe hain hamare hisse mein apna hi ghar nahin aaya zamin banjh na ho jae kuchh kaho 'azhar' sukhan ki shakh pe kab se samar nahin aaya