wo meri bekasi par kash thoda mehrban hota pareshan-haal ho kar main yaqinan shadman hota yaqin kar ki main tujh se bhi ziyaada chahta us ko jo mere jaisa tera aur koi qadr-dan hota khare khote ka andaza tujhe bhi kuchh to lag jata raqib-e-ru-siyah ka jo liya gar imtihan hota na hota dasht-o-virana agar sahra-e-be-payan gharib aashiq koi aabaad phir ja kar kahan hota makan is daur mein pocket edition bante hain 'khushtar' koi dalan aangan aur koi saeban hota