wo meri dost wo hamdard wo gham-KHwar aankhen

wo meri dost wo hamdard wo gham-khwar aankhen
ek masum mohabbat ki gunahgar aankhen

shokh-o-shadab-o-hasin sada-o-purkar aankhen
mast-o-sarshaar-o-jawan be-khud-o-hoshiyar aankhen

tirchhi nazron mein wo uljhi hui suraj ki kiran
apne duzdida ishaaron mein giraftar aankhen

jumbish-e-abru-o-mizhgan kai khunuk sae mein
aatish-afroz junun-khez sharar-bar aankhen

kaifiyat dil ki sunati hui ek ek nigah
be-zaban ho ke bhi wo mail-e-guftar aankhen

mausam-e-gul mein wo udte hue bhaunron ki tarah
ghuncha-e-dil pe wo karti hui yalghaar aankhen

kabhi chhalki hui sharbat ke katoron ki tarah
aur kabhi zahr mein dubi hui talwar aankhen

kabhi thahri hui yakh-basta ghamon ki jhilen
kabhi sahma hua simta hua ek pyar aankhen

kabhi jhukte hue baadal kabhi girti bijli
kabhi uthti hui aamada-e-paikar aankhen

nok-e-abru mein kabhi talkhi-e-inkar liye
kabhi ghole hue shirini-e-iqrar aankhen

aanch mein apni jawani ki sulagti chitwan
shabnam-e-ashk mein dhoi hui gulnar aankhen

husn ke chand se mukhde pe chamakte tare
hae aankhen wo harif-e-lab-o-rukhsar aankhen

ishwa-o-ghamza-o-andaz-o-ada par nazan
apne pindar-e-jawani ki parastar aankhen

ruh ko rog mohabbat ka laga deti hain
sehat-e-dil jo ata karti hain bimar aankhen

sehn-e-zindan mein hai phir raat ke taron ka hujum
shama ki tarah farozan sar-e-diwar aankhen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close