wo nahin us ki magar jadugari maujud hai ek sahar-alud mujh mein be-khudi maujud hai saf-ba-saf dushman hi dushman hain mere chaaron taraf hausla dekho ki phir bhi zindagi maujud hai bujh gai hai bastiyon ki aag ek muddat hui zehn mein lekin abhi tak shoalagi maujud hai baad-e-sarsar chal rahi hai aur us ke bawajud phir bhi shamon mein abhi tak raushni maujud hai hai ajab eajaz ye us ki mohabbat ka 'zafar' jagti aankhon mein khwab-e-zindagi maujud hai