wo nazar aaina-fitrat hi sahi mujhe hairat hai to hairat hi sahi zindagi dagh-e-mohabbat hi sahi aap se dur ki nisbat hi sahi tum na chaho to nahin kat sakti ek lamhe ki masafat hi sahi dil mohabbat ki ada chahta hai ek aansu dam-e-rukhsat hi sahi aab-e-haiwan bhi nahin mujh pe haram zahr ki mujh ko zarurat hi sahi apni taqdir mein sannata hai ek hangame ki hasrat hi sahi is qadar shor-e-tarab kya mani jagne ki mujhe aadat hi sahi bazm-e-rindan se talluq kaisa aap ki mez pe sharbat hi sahi hadd-e-manzil hai muqarrar 'baqi' rahraw-e-shauq ko ujlat hi sahi