wo pairahan-e-jaan mein jaan hajla-e-tan mein hun wahm-e-judai se ajab ranj-o-mehan mein maqsud ziyarat hai agar kaba-e-dil ki ho garm-e-safar nahiya-e-mulk-e-watan mein wo qamat-e-dilkash hai ajab fitna-e-alam chhupta hi nahin pairahan-e-naud-kuhan mein ai shama baha ashk chhupa raaz-e-mohabbat khakistar-e-parwana hai betab lagan mein shorish meri beja hai na fariyaad nikammi raunaq hai zara nala-e-bulbul se chaman mein tasir ho kya khak jo baaton mein ghadat ho kuchh baat nikalti hai to be-sakhta-pan mein kam-tar hai do o dam se insan ba-maraatib har dam jo taraqqi na kare chaal-chalan mein hun main to wahi moatakif-e-gosha-e-uzlat haalanki mera rekhta pahuncha hai deccan mein ye sach hai ki sauda bhi tha ustad-e-zamana meri to magar 'mir' hi tha sher ke fan mein