wo taDap jae ishaara koi aisa dena

wo tadap jae ishaara koi aisa dena
us ko khat likhna to mera bhi hawala dena

apni taswir banaoge to hoga ehsas
kitna dushwar hai khud ko koi chehra dena

is qayamat ki jab us shakhs ko aankhen di hain
ai khuda khwab bhi dena to sunahra dena

apni tarif to mahbub ki kamzori hai
ab ke milna to use ek qasida dena

hai yahi rasm bade shahron mein waqt-e-rukhsat
hath kafi hai hawa mein yahan lahra dena

in ko kya qile ke andar ki fazaon ka pata
ye nigahban hain in ko to hai pahra dena

patte patte pe nai rut ke ye likh den 'azhar'
dhup mein jalte hue jismon ko saya dena


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close