wo taghaful ko ilaj-e-gham-e-pinhan samjha

wo taghaful ko ilaj-e-gham-e-pinhan samjha
chaara-gar bhi na mere dard ka darman samjha

tab-e-didar na lai nigah-e-naz-parast
aur wo dida-e-ushshaq pe ehsan samjha

jama khatir na hui did-e-butan se apni
daftar-e-husn ko ajza-e-pareshan samjha

na hui jalwa-gah-e-naz ki wusat malum
go main har zarra ko ek dida-e-hairan samjha

thi teri yaad bhi kya anjuman-ara-e-khayal
dil mein jo shoala utha sham-e-shabistan samjha

shorish-e-ishq ka aasan na tha andaza
chaak ho kar meri wahshat ko gareban samjha

sahib-e-dil hai wahi murshid-e-kaamil hai wahi
mere chehre se jo mera gham-e-pinhan samjha

har nafas shahid-e-dushwari-e-ulfat hai 'nazar'
sakht mushkil tha wahi kaam jo aasan samjha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close