wusat-e-daman-e-sahra dekhun

wusat-e-daman-e-sahra dekhun
apni aawaz ko phaila dekhun

hath mein chand ko pighla dekhun
khwab dekhun ki kharaba dekhun

sath par aks ko bahta dekhun
dariya dariya tera saya dekhun

khud ko dekhun tera chehra dekhun
aaina tod dun phir kya dekhun

apne sae ko barahna paun
sath ruswai ko hansta dekhun

retili dhup mein aate jate
mahmil-e-waqt ko thahra dekhun

subh ke phul ko hansta pa kar
raat ki aankh mein kanta dekhun

shahr mein log jise dhundte hain
apne ghar mein use baitha dekhun

aisa din aae na hargiz 'adil'
jaise ji mein use marta dekhun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close