yahan jo hai kahan us ka nishan baqi rahega

yahan jo hai kahan us ka nishan baqi rahega
magar jo kuchh nahin wo sab yahan baqi rahega

safar hoga safar ki manzilen madum hongi
makan baqi na hoga la-makan baqi rahega

kabhi qarya-ba-qarya aur kabhi aalam-ba-alam
ghubar-e-hijrat-e-be-khanaman baqi rahega

hamare sath jab tak dard ki dhadkan rahegi
tere pahlu mein hone ka guman baqi rahega

bahut be-e'tibari se guzar kar dil mile hain
bahut din tak takalluf darmiyan baqi rahega

rahega aasman jab tak zamin baqi rahegi
zamin qaim hai jab tak aasman baqi rahega

ye duniya hashr tak aabaad rakkhi ja sakegi
yahan hum sa jo koi khush-bayan baqi rahega

junun ko aisi umr-e-jawedan bakhshi gai hai
qayamat tak giroh-e-ashiqan baqi rahega

tamaddun ko bacha lene ki mohlat ab kahan hai
sar-e-girdab kab tak baadban baqi rahega

hamara hausla qaim hai jab tak saeban hai
khuda jaane kahan tak saeban baqi rahega

tujhe malum hai ya kuchh hamein apni khabar hai
so hum mar jaenge tu hi yahan baqi rahega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close