yaqin ke baad ye dekha ki phir guman TuTe

yaqin ke baad ye dekha ki phir guman tute
wo aandhiyan thin ki sare hi saeban tute

fasil-e-shahr ki dalin jinhon ne buniyaaden
wo hath dastaken dete hue yahan tute

phir ek bar ladai thi apni suraj se
hum aainon ki tarah phir yahan wahan tute

hamare mausam-e-dil ko nazar ye kis ki lagi
ye kin hawaon mein rishton ke aashiyan tute

na sirf ye ki giren un pe bijliyan sidhi
talash-e-haq ke asiron pe aasman tute


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close