yaron ko kya dhund rahe ho waqt ki aankh-micholi mein shahar mein wo to bate hue hain apni apni toli mein shahon jaisa kuchh bhi nahin hai gumbad taq na mehraben taj-mahal ka aks na dhundo meri shikasta kholi mein dhalte dhalte suraj ne bhi hum par ye ehsan kiya chand sitare dal diye hain raat ki khali jholi mein 'mira-ji' ke dohe gao ya ki 'mir' ke sher padho dard ke qisse sab ne likhe hain apni apni boli mein atlas aur kamkhwab ki raunaq is mein kahan se paoge meri ghazal to baithi hui hai aaj ghamon ki doli mein