ye aah-e-be-asar kya ho ye nakhl-e-be-samar kya ho na ho jab dard hi yarab to dil kya ho jigar kya ho baghal-gir aarzu se hain muraden aarzu mujh se yahan is waqt to ek id hai tum jalwa-gar kya ho muqaddar mein ye likkha hai kategi umr mar-mar kar abhi se mar gae hum dekhiye ab umr bhar kya ho murawwat se ho begana wafa se dur ho koson ye sach hai naznin ho khub-surat ho magar kya ho laga kar zakhm mein tanke qaza teri na aa jae jo wo saffak sun pae bata ai chaara-gar kya ho qayamat ke bakhede pad gae aate hi duniya mein ye mana hum ne mar jaana to mumkin hai magar kya ho kaha main ne ki 'nazm'-e-mubtala marta hai hasrat mein kaha us ne agar mar jae to mera zarar kya ho