ye bhi rawish kya KHub hai sachchi KHushi ke waste

ye bhi rawish kya khub hai sachchi khushi ke waste
jina kisi ke waste marna kisi ke waste

lazim hain dur-andeshiyan ek falsafi ke waste
fikr-o-nazar darkar hain danishwari ke waste

jab tak na ho irfan-e-zat idrak-e-alam kuchh nahin
ya-rab basirat kar ata khud-agahi ke waste

ahl-e-khirad se hal na honge zindagi ke masale
ahl-e-junun ko dhund is dard-e-sari ke waste

hote rahoge ta-ba-ke sharminda-e-ehsan-e-ghair
yaro yahan ki chand-roza zindagi ke waste

donon hain afsurda-dil aazurda-nazar aashufta-haal
ek be-khudi ke waste aur ek khudi ke waste

kis darja pur-asrar hota ja raha hai in dinon
ek masala hai aadmi khud aadmi ke waste

mujh ko kisi ki zat se kya lena dena hai magar
koshan hun main to ittihad-e-bahami ke waste

'rahbar' na hoga shabnam-afshani se bar-awar ye bagh
khun-e-jigar ki hai zarurat shaeri ke waste


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close