ye daur-e-taraqqi hai rifat ka zamana hai zarron ko uthana hai taron se milana hai aaghosh-e-tasawwur hai aur naqsh-e-jamil un ka duri hai na majburi aana hai na jaana hai nairang-e-mohabbat hai har raaz mere dil ka chup hun to haqiqat hai kah dun to fasana hai arman-e-tajalli ka kotah bhi kar qissa ai dost tujhe aakhir ek din nazar aana hai kya shoabada-saman hai 'simab' zamana bhi har shakhs samajhta hai mera hi zamana hai