ye inqalab bhi ai daur-e-asman ho jae

ye inqalab bhi ai daur-e-asman ho jae
mera qafas bhi muqaddar se aashiyan ho jae

maal-e-zabt-e-fughan marg-e-na-gahan ho jae
kisi tarah to mukammal ye dastan ho jae

samajh to lenge wo mujh se agar bayan ho jae
sukut had se guzar jae to ziyan ho jae

qafas se dur sahi mausam-e-bahaar to hai
asiro aao zara zikr-e-ashiyan ho jae

diya hai dard to rang-e-qubul de aisa
jo ashk aankh se tapke wo dastan ho jae

zaban-e-khushk bhi jumbish mein la nahin sakte
ye bebasi bhi na minjumla-e-fughan ho jae

qafas bhi bigdi hui shakl hai nasheman ki
ye ghar jo phir se sanwar jae aashiyan ho jae

nigah-e-garm se dekho na ashk-e-hasrat ko
ye chahte ho ki ye os bhi dhuan ho jae

hayat nok-e-mizha tak hai ashk-e-rangin ki
palak zara si bhi jhapke to raegan ho jae

'siraj' dekh lo be-ansuon ke bhi ro ke
ye sai bhi na kahin sai-e-raegan ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close