ye jo dushman gham-e-nihani hai

ye jo dushman gham-e-nihani hai
ye bhi ek dost apna jaani hai

ghafil hum us se wo rahe hum se
umr-e-rafta ki qadr-dani hai

qasr tamir kar chuke hain bahut
manzil-e-gor ab banani hai

jis ki ulfat mein dil dhadakta hai
ab talak us ki bad-gumani hai

aur bhi ek ghazal 'farasu' padh
ab ye hangama-e-sher-khwani hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close