ye kaise KHauf hamein aaj phir satane lage

ye kaise khauf hamein aaj phir satane lage
hamare pas raho tum ki dil thikane lage

ghubar-e-shahr se bahar teri rifaqat mein
sukut-e-sham ke lamhe bade suhane lage

kabhi jo laut ke aae kisi masafat se
to apne shahr ke manzar wahi purane lage

saza ke khauf se kyun is qadar larazta hai
kar aisa jurm ki rahmat bhi muskurane lage

ye kaenat to ujlat mein mil gai thi mujhe
magar talash mein apni kai zamane lage

zahe nasib mera fan maqam pa hi gaya
hasin hont mere git gungunane lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close