ye sadma usko pagal kar gaya tha

ye sadma us ko pagal kar gaya tha
wo apne aaine se dar gaya tha

koi bhi sar nahin tha us ke qabil
abas us shahr mein patthar gaya tha

jahaalat ke hawale padhte padhte
kitabon se mera ji bhar gaya tha

pilata kaun us pyase ko pani
koi masjid koi mandar gaya tha

wo kis mitti ka tha nafrat ke ghar mein
wo odhe pyar ki chadar gaya tha

mera ehsas to tere karam se
mere marne se pahle mar gaya tha

na nikla phir wo sari umr ghar se
zara si der ko bahar gaya tha

to phir luta hai kis ne qafile ko
udhar to sirf ek rahbar gaya tha

wahan phir pair kab rakkha kisi ne
jahan raste mein mera sar gaya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close