ye tirgi-e-shab hi kuchh subh-taraaz aati khud wada-e-farda ki chhati bhi dhadak jati honton pe hansi paiham aate hue sharmati ab raat nahin katti ab nind nahin aati jo awwal o aakhir tha wo awwal o aakhir hai main nala-ba-jaan uthta wo naghma-ba-saz aati soz-e-shab-e-hijran phir soz-e-shab-e-hijran hai shabnam ba-mizha uthti ya zulf-e-daraaz aati ya-rab wo jawani bhi kya mahshar-e-arman thi angdai bhi jab leti ek aankh jhapak jati aaghaz-e-siyah-masti anjam-e-siyah-masti aaine mein surat bhi aane ki qasam khati sine mein 'majaz' ab tak wo jazba-e-kafir tha taslis ki joinda wahdat ki qasam khati