ye umr-e-sad-bala jo apne hi sar gai hai thodi guzar lenge thoda guzar gai hai ya mund lin hain aankhen ya mund gain hain aankhen tujh par pas-e-tamasha kya kya guzar gai hai mumkin nahin hai shayad donon ka sath rahna teri khabar jab aai apni khabar gai hai shor-e-khizan hai ghar mein diwar-o-baam-o-dar mein dar par sawari kal aa kar thahar gai hai malum hi nahin hai kuchh farq hi nahin hai ye din guzar gaya hai ya shab guzar gai hai har gul-badan ko takna aankhon se chum rakhna diwangi hamari had se guzar gai hai