yun bhi guzri hain meri sham-o-sahar pani mein ashk ban ban ke baha khun-e-jigar pani mein kya daraenge ye aafat-e-zamana hum ko hum bana lete hain jab rah-e-safar pani mein sakht se sakht bhi patthar na raha phir patthar akasr aaya hai nazar aisa asar pani mein tum isi taur mere dil mein raha karte ho jis tarah rahta hai poshida guhar pani mein jazba-e-shauq-o-tasawwur ki badaulat akasr dekhta rahta hun main aks-e-qamar pani mein khwahish-e-aish-o-tarab kyun ho zamane ki use zindagi hoti rahi jis ki basar pani mein raushni deti wo kaise rah-e-ulfat pe 'rais' sham-e-ummid jalai thi magar pani mein