yun samaya hai ki ab sar se nikalne ka nahin

yun samaya hai ki ab sar se nikalne ka nahin
main jo chahun bhi to ek dar se nikalne ka nahin

main ne jo khauf piroya tha ragon mein apni
aisa baitha hai ki andar se nikalne ka nahin

baad koshish ke natija ye nikala main ne
zindagi main tere chakkar se nikalne ka nahin

khinch late hain haqiqat mein hawadis warna
aadmi khwab ke mehwar se nikalne ka nahin

sar patakhta nahin pinjre mein parinda yunhi
shauq-e-parwaz kabhi par se nikalne ka nahin

ek sadak aur mera aathwan daswan chakkar
aur mujhe ilm hai wo ghar se nikalne ka nahin

apne andar yun chhupae hain sanam patthar ne
but koi tesha-e-azar se nikalne ka nahin

gham-e-dauran bhi hai yun jaise mera yaum-e-hisab
main to duniya mein bhi mahshar se nikalne ka nahin

dhons deta hai ye suraj mujhe har sham 'hasan'
wo jo duba to samundar se nikalne ka nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close