zaban-e-nutq mein paida agar husn-e-bayan kar lun

zaban-e-nutq mein paida agar husn-e-bayan kar lun
chaman ke zarra-zarra ko main apna ham-zaban kar lun

bahut mumkin hai paida ishq mein dushwariyan kar lun
magar dil ko kisi surat shanasa-e-fughan kar lun

nigah-e-iltifat us ki agar wusat-badaman ho
zamane bhar ke armanon ko dil mein mehman kar lun

main wo iza-talab hun bar-sar-e-manzil bhatak jaun
rah-e-asan mein paida jaan kar dushwariyan kar lun

asir-e-nau hun main waqif nahin aadab-e-zindan se
ki kab nala karun aur band kab apni zaban kar lun

maze soz-e-mohabbat ke koi dil se mere puchhe
jo qabu ho to sari hasraton ko bijliyan kar lun

dikha dunga kahan jhukte hain sar sari khudai ke
magar pahle main tere aastan ko aastan kar lun

main khud waqif nahin ab tak 'munir' is raaz-e-ulfat se
chhupaun raaz-e-dil kis se main kis ko raazdan kar lun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close